3 yrs ·Translate

Allah Ta'ala Qur'an mein farmaata hai (Tarjama): Aur baaz aadmi aise hain, jo in baaton ki khareedaari karte hain, jo gaafil karne waali hain, taake Allah ke raaste se besoche samjhe hataadein aur us ki hansi udaaein, aise logon ke liye zillat wa ruswaai ka azaab hai.
📗Ref Quran:- Sura-e-Luqmaan: 6
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Beshak jo log Imaan laye aur unho ne naik amal kiye Allah Ta'ala un keliye makhlooq ke dil mein mohabbat paida kareingey.
📗Ref Quran:- Maryam 19: 96
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Abu Zar Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Sabse afzal amal Allah Ta'ala ke liye kisi se mohabbat karna aur Allah Ta'ala ke liye kisi se dushmani karna hai.
📗Ref:- Abu Dawud: With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed , Aadil Khan khan