📚Hadees:- Hazrat Abu Moosa Ashari Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen qism ke logon ka Ikraam karna Allah Ta'ala ki ta'zeem karne mein shaamil hai. Ek budha musalmaan, dusra wo Hafiz-e-Quran, jo aitedaal par rahe, teesra insaaf karne waala haakim.
📗Ref:- Abu Dawud: 4843
Faida: Aitedaal par rehne ka matlab ye hai ke Quran-e-Shareef ki tilaawat ka ehtemaam bhi kare aur riyaakaron ki tarah tajweed aur hurf ki adayegi mein tajawuz na kare
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Jo shakhs Allah aur us ke Rasool ka kahna na maane, woh khulli huwi gumraahi mein hai.
📗Ref Quran:- Sura-e-Ahzaab : 36
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed , Aadil Khan khan



