3 yrs ·Translate

📚Hadees:- Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi shakhs ko is baat ki ijaazat nahin ke kisi dusre ko uski jagah se utha kar khud us jagah baith jaye.
đź“—Ref:- Bukhari: 6262
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Imaan waalon ko chaahiye ke (Jis se un ke haq mein koi ziyaadati aur qusoor ho gaya ho, us ko) woh maaf kar diya karein aur nazar andaaz kar dein. Kya tum yeh nahin chaahte ke Allah tumhein maaf kar de aur Allah bakshne waala aur bahot maherbaan hai.
📗Ref Quran:- Sura-e-Noor With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed , Aadil Khan khan