๐Hadees:- Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni jagah se (kisi zaroorat se) utha aur phir waapas aagaya to us jagah (baithne) ka wohi shakhs zyaada haqdaar hai.
๐Ref:- Muslim: 5689
๐๐ป๐ธ๐๐บโ๏ธ๐น๐ฟ๐ท๐พ๐ด
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur apne Rabb ki bakhshish ki taraf dau'do aur neez us Jannat ki taraf jis ki chaurdaayi aisi hai jaise aasmanon ka aur zameenon ka phailao jo Allah Ta'ala se darne waalon keliye tayyar ki gayi hai yani (un aala darje ke musalmanon keliye hain) jo khushhaali aur tangdasti donon haalton mein naik kaamon mein kharch karte rehte hain aur ghusse ko zabt karne waale hain aur logon ko mu'af karne waale hain aur Allah Ta'ala aise naik logon ko pasand karte hain.
๐Ref Quran:-Aal-'Imran 3: 133-134
๐๐ป๐ธ๐๐บโ๏ธ๐น๐ฟ๐ท๐พ๐ด With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , แทแ แดแแแฅแ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed , Aadil Khan khan