💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Jo log sona chaandi jama karte hain aur Allah ki raah mein kharch nahin karte, unhein ek dardnaak azaab ki khushkhabri suna do ke un ka jama kiya huwa sona chaandi us din Dozakh ki aag mein tapaaya jaayega, phir un badbakhton ki peshaaniyan, karwatein aur peethhein daagi jaayegi. Aur un se kaha jaayega, yeh wahi sona chaandi hai jo tum ne jama kiya tha, ab apne jama kiye huwe ka maza chakho.
📗Ref Quran:- Sura-e-Tauba 9: 34, 35
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Shah Rukh
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Ibn 'Abbas Raziyallahu 'anhuma farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo musalman kisi musalman ko kapda pehnata hai to jab tak pehenne wale ke badan par is kapde ka ek bhi tukda rehta hai pehnane waala Allah Ta'ala ki hifazat mein rehta hai.
📗Ref:- Tirimizi: 2484
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Shah Rukh
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
_جو سوچ کر نہ سمجھے وہ دیکھ کے بھی نہیں سمجھتا۔ جس شخص کی عقل نے اس کو نہ بتایا اس کی آنکھ بھی اسے نہیں بتا سکتی۔ قرآن کے الفاظ میں "آنکھیں اندھی نہیں ہوتیں بلکہ وہ دل اندھے ہوتے ہیں جو سینوں کے اندر ہیں_
_जो सोच कर ना समझे वो देख कर भी नहीं समझता, जिस शख्स की अक़ल ने उसे ना बताया उसकी आंखें भी उसे नहीं बता सकती, क़ुरान के अल्फाज़ में "आंखे अंधी नहीं होतीं बल्की वो दिल अंधे होते हैं जो सीनों के अंदर हैं_
_One who does not understand by thinking cannot understand by seeing. the person whose mind did not tell him, even his eyes cannot tell him, in the words of the Quran, "The eyes are not blind, but the hearts that are inside the chest are blind_
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴@zikr e Mewat With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Nawwas Bin Saman Ansari Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ se naiki aur gunah ke baare mein poocha: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Naiki achchhe aklaaq ka naam hai aur gunah wo hai jo tumhare dil mein khatke aur tumhe ye baat na pasand ho ke logon ko iski khabar ho.
📗Ref:- Muslim: 6516
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'al ka irshaad hai (Tarjama): Aur kisi qaum ki dushmani tum ko is baat par aamaada na kare ke tum us ke saath insaaf na karo, tum insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai.
📗Ref Quran:- Sura-e-Maidah 5: 8
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Farishte Allah ke kisi hukm mein us ki naafarmaani nahin karte aur wahi karte hain jis ka unhein hukm diya jaata hai.
📗Ref Quran:- Sura-e-Tahreem 66: 6
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Waasila Bin Aqsa Raziyallahu 'Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaya: Tum apne bhai ki kisi musibat par khushi ka izhaar na kiya karo hosakta hai ke Allah Ta'ala us par rahem farmakar usko is museebat se nijaat de dein aur tum ko museebat mein mubtela kardein.
📗Ref:- Tirimizi: 2506
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed , Arman Khan , Muskan Mewati , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz