💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
_ਕੌਣ ਭੁਲਾ ਸਕਦਾ ਹੈ ਆਪਣੇਆਂ ਨੂੰ, ਸੱਜਣਾਂ! ਬੱਸ ਆਕੜਾਂ ਹੀ ਰਿਸ਼ਤੇ ਖਤਮ ਕਰ ਦਿੰਦੀਆਂ ਨੇ_
_پیاروں کو کون بھلا سکتا ہے جناب! بس اتنا ہے کہ غرور رشتوں کو تباہ کر دیتا ہے_
_अपनों को कौन भूल सकता है जनाब! बात सिर्फ इतनी है कि अहंकार रिश्तों को नष्ट कर देता है_
_Who can forget loved ones, Janab! It's just that pride destroys relationships._
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾 With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan wo hai jiski zubaan aur haath se musalmaan mehfooz rahein. Aur Muhajir (yani chordne waala) wo hai jo un tamaam kaamon ko chord de, jisse Allah Ta'ala ne roka hai.
📗Ref:- Bukhari: 10
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah kaun se musalmaan ka Islam afzal hai? Irshaad farmaaya: Jis (musalmaan) ki zubaan aur haath se dusre musalmaan mehfooz rahein.
📗Ref:- Bukhari: 11
Faida: Zuban se takleef pahunchane mein kisi ka mazaaq udana, tohmat lagana, bura bhala kehna aur haath se takleef pahunchane mein kisi ko nahaq maarna, kisi ka maal zulman lena waghaira umoor shaamil hain. (Fath-ul-Bari)
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Hadees:- Hazrat Abdullah Bin Masud Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni qaum ki nahaq madad karta hai wo us ount ki tarah hai jo kisi kunwe mein gir gaya ho aur usko dum se pakad kar nikaala jaa raha ho.
📗Ref:- Abu Dawud: 5117
Faida: Matlab ye hai ke jis tarah kunwe mein gire hue ount ko dum se pakad kar nikaalne ki koshish karna apne aapko befaida mushaqqat mein daalna hai, kyunke is tareeqe se ount ko kunwe se nahi nikala jaasakta isi tarah qaum ki nahaq madad karna bhi befaida hai, kyunke is tareeqe se qaum ko sahi raaste par nahin daala jaasakta. (Bazl-ul-Majhud)
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Ayyub Rahimahullah apne waalid se aur wo apne dada se riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi baap ne apni aulaad ko achchhi taaleem wa tarbiyat se behtar koi tohfa nahin diya.
📗Ref:- Tirmizi: 1952
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Muskan Mewati , Zikr E Mewat , Khalid Khan , Asjad mewati , Jahid Khan , ᎷᏒ ᎴᏋᏉᎥᏝ , Md Sehnoor , Arbaz Hussain , Aadil Hasan , Mohd Aijaz , Bilal Ahmed