💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
_دنیا بد سے بدترین ہوجائیگی، برے لوگوں کی وجہ سے نہیں، بلکہ اچھے لوگوں کی خاموشی کی وجہ سے_
_दुनिया बतर से बतरीन हो जाएगी, बुरे लोगों की वजह से नहीं, बल्कि अछे लोगों की खामोशी की वजह से_
_The world will go from bad to worse, not because of bad people, but because of the silence of good people_
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Azaan aur iqaamat ke darmiyani waqt mein ki dua rad nahi hoti yani qubool hoti hai. Sahaaba-e-Kiraam Raziyallahu 'anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah! Hum kya dua maange? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki aafiyat maanga karo.
📗Ref:- Tirmizi: 3594
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴@Zikremewatr With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala se unke wohi bande darte hain jo unki Azmat ka Ilm rakhte hain.
📗Ref Quran:- Fatir 35: 28
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke ek shakhs ne arz kiya: Ya Rasulullah! azaan kehne waale ham se Ajar wo swab mein badhehue hai (Kya koi aisa amal hai ke humein bhi azaan dene wali fazilat miljaaye ?) Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wohi kalimaat kaha karo jo mu'azzin kehte hain phir jab tum azaan ka jawaab de chuka to dua maango (jo maangoge) wo diya jayega.
📗Ref:- Abu Dawud: 524
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴BSF EntertainmentZikr E Mewat With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
_کسی کو لفظوں سے معاف کرنے میں وقت نہیں لگتا لیکن دل سے معاف کرنے میں عمر لگ جاتی ہے جناب
_किसी को भी जुबान से माफ करने में वक़्त नहीं लगता है, लेकिन दिल से माफ करने में उम्रें बीत जाती हैं, जनाब
_It doesn't take time to forgive anyone with words, but it takes ages to forgive from the heart, Janab With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Hum ye misaalein logon ke liye bayaan karte hai, (lekin) inhe ilm waale hi samajhte hain.
📗Ref Quran:- Al-'Ankabut 29: 43
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Zikr E Mewat , Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur bilashubah humne Dawud aur Sulaiman ko ilm ataa farmaaya aur us par un dono Nabiyon ne kaha ke sab tareefein us Allah Ta'ala ke liye hain jinho ne hamein apne bahut se Imaan waale bandon par fazilat di.
📚Ref Quran:- An-Nam 27: 15
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke maine Nabi Kareem ﷺ ko irshaad farmaate hue suna: Achchha Khuwaab Allah Ta'ala ki taraf se hai aur bura khuwaab (jis mein ghabrahat ho) shaitan ki taraf se hai. Jab tum mein se koi khuwaab mein napasandida cheez dekhe to jis waqt uthe (apni bayein taraf) teen martaba thuthkaare aur us khuwaab ki burai se Allah Ta'ala ki panah maange to woh khuwaab us shakhs ko nuqsaan na pahunchayega.
📗Ref:- Bukhari: 5747
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed