💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📗Hadees:- Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum mein se woh shakhs us waqt tak Namaaz ka sawaab paata rehta hai jab tak woh Namaaz ke intezaar mein rehta hai. Farishte uske liye yeh dua karte hain: Ya Allah iski maghfirat farmaiyye aur is par reham farmaiyye (Namaaz padhne ke baad bhi) jab tak Namaaz ki jagah bawazu baitha rehta hai, farishte uske liye yehi dua karte rehte hain.
📚Ref:- Bukhari: 3229
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
_نیت ہمیشہ سنبھال کر رکھنا کیونکہ آپ کی نیکی کا وزن آپ کی نیت پر موقوف ہے۔ بس اللہ تعالی کا فرمان سمجھ کر عمل کرو اور کوئ اُمید اس دنیا سے مت باندھنا_
_नियत हमेशा संभाल कर रखना क्योंकि आपकी नेकी का वज़न आपकी नियत पर मोक़ूफ़(निर्भर) है, बस अल्लाह ताला का फरमान समझ कर अमल करो और कोई उम्मीद इस दुनिया से मत बांधना_
_Always keep your intention safe because the weight of your good deeds depends on your intention, just follow Allah's orders and don't expect anything from this world._
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
_دنیا بد سے بدترین ہوجائیگی، برے لوگوں کی وجہ سے نہیں، بلکہ اچھے لوگوں کی خاموشی کی وجہ سے_
_दुनिया बतर से बतरीन हो जाएगी, बुरे लोगों की वजह से नहीं, बल्कि अछे लोगों की खामोशी की वजह से_
_The world will go from bad to worse, not because of bad people, but because of the silence of good people_
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
📚Hadees:- Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Azaan aur iqaamat ke darmiyani waqt mein ki dua rad nahi hoti yani qubool hoti hai. Sahaaba-e-Kiraam Raziyallahu 'anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah! Hum kya dua maange? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki aafiyat maanga karo.
📗Ref:- Tirmizi: 3594
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴@Zikremewatr With Bilal Ahmed
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala se unke wohi bande darte hain jo unki Azmat ka Ilm rakhte hain.
📗Ref Quran:- Fatir 35: 28
💐🌻🌸🍀🌺☘️🌹🌿🌷🌾🌴 With Bilal Ahmed